Baarish nayi, khushboo wahi Is mitti mein har mausam raha Jo pal dobara aaye nahi Woh khushboo ban kar saath rahe Kya baaki raha Kya baaki raha Har dhun badalti rahi Ek sur saath raha Jo baat kabhi sab kuch thi Ab uska bas kissa hai Main ab pehle jaisi nahi Par woh bhi mera hissa hai Kya baaki raha Kya baaki raha Har dhun badalti rahi Ek sur saath raha Bol toh saare bhool gayi Dhun dhun ab bhi pehchaanti hoon Apne sur mein, apni lay mein Dheere se gungunaati hoon Hmm... Kya baaki raha Kya baaki raha Har dhun badalti rahi Ek sur saath raha Ab jawaab ki jaldi nahi Sawaal bhi apna laga Baarish nayi, khushboo wahi... Kya baaki raha Kya baaki raha Original Lyrics © 2026 Nappakari (A P Singh). All rights reserved.